khwab aur khwab ka fusun nahin kuchh aankh khul jae to junun nahin kuchh husn kahta hai baat kar mujh se ishq kahta hai main kahun nahin kuchh aur kuchh chahiye mohabbat mein haalat-e-haal-e-dil zubun nahin kuchh raegan ja rahe hain naqsh mere aaina-khana hi fuzun nahin kuchh tu bahut ehtiyat karta tha tere hathon mein aaj kyun nahin kuchh aasman yun bhi hum pe girta hai saqf to chhodiye sutun nahin kuchh us ne mathe pe hont rakh ke kaha aaj ye zakhm nilgun nahin kuchh laut aati hai wo nazar khali kya meri zat ke darun nahin kuchh kaam sar par pade rahen 'azhar' aur main baitha rahun karun nahin kuchh