yun chahaton mein koi ranj-e-ashnai na de

yun chahaton mein koi ranj-e-ashnai na de
ki dil ho rakh magar aag bhi dikhai na de

asir-e-dam-e-mohabbat kahan se ho aazad
ki un ki zulf ki zanjir jab rihai na de

kahan se sunta sada meri us hujum mein wo
pukaro khud ko to aawaz bhi sunai na de

hujum-e-lafz se kya chamke sina-e-qirtas
tera khayal qalam ko jo raushnai na de

ye kaisa khauf musallat hai zehn-o-dil par ab
parinda khud kahe sayyaad se rihai na de

wo jin nigahon ko kal tirgi ka shikwa tha
hai aaj raushni itni ki kuchh dikhai na de

ata ho dar se tere izz-o-jah ki daulat
nigah-e-khalq mein kar de bada badai na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close