khwab jo bhi buna wo buna rah gaya umr biti magar bachpana rah gaya aks jitne the sare badalte rahe aaina to wahi aaina rah gaya dekh kar baadalon ka umadta hujum lab pe suraj ke kuchh gunguna rah gaya tu mila to mujhe ye achanak laga kaise ab tak main tere bina rah gaya hashiye par pade hum bhala kya kahen jab bhi jo bhi kaha an-suna rah gaya