mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luta hai ghazab hai khana-e-ulfat ko mehman ban ke luta hai kiya andher zalim ne bujha kar sham-e-ulfat ko umidon ki sahar ko sham-e-hijran ban ke luta hai jhalak dikhla ke jis ne nind aankhon ki udai thi usi ne naqd-e-dil khwab-e-pareshan ban ke luta hai zaban-e-ishq mein jis ko kahenge dushman-e-iman usi paiman-shikan ne ruh-e-iman ban ke luta hai zaban-e-shauq par rakh rakh ke ilzam-e-sukhan-sazi but-e-khamosh ne mujh ko zaban-dan ban ke luta hai main jis ko manzil-e-maqsud ka rahbar samajhta tha usi be-dard ne mujh ko nigahban ban ke lauta hai kiya mujh ko shikar-e-kufr le kar aad iman ki kisi kafir ne ai 'nazish' musalman ban ke luta hai