khwab ki tabir ka qissa nirala ban gaya khud-farebi zindagi ka ab saliqa ban gaya dafatan ek muskurahat tere lab pe aai hai chahaton ka meri ab ye ek thikana ban gaya chhu gai naghmon ko teri ye mohabbat haule se dekh andaz-e-bayan ye shairana ban gaya baadalon sa aks tera dil pe thahra der tak bhig kar yaadon ki barish mein sharara ban gaya jam armanon ke chhalke aankhon ke paimane se bahte ashkon se mera gahra ye nata ban gaya qaid hai bite wo lamhe yaadon ke andaz mein roz un se tazkira gham ka sahaara ban gaya