waqt ke hathon ne jab tak ki na KHamosh kiya

waqt ke hathon ne jab tak ki na khamosh kiya
main ne tujh ko na kisi lamha faramosh kiya

is ki chahat ne sanwarne ka saliqa bakhsha
shahr ke shahr ko us shakhs ne khush-posh kiya

hijr ke sadme bahut bakhshe ye sach hai lekin
lazzat-e-wasl se bhi us ne ham-aghosh kiya

waqt ki dhul ne kajla diye suraj kitne
kaise kaison ko zamane ne faramosh kiya

teri qurbat ne sikhai thi mujhe mai-noshi
aur furqat ne teri mujh ko bala-nosh kiya

kya mila tark-e-talluq se bhi mujh ko 'jawed'
yaad ne chhoda na gham hi ne subuk-dosh kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close