khwab o tabir-e-be-nishan main tha ek rudad-e-raegan main tha do taraf tha hujum sadiyon ka ek lamha sa darmiyan main tha bahte pani pe jis ki thi buniyaad kham mitti ka wo makan main tha main wahan hun jahan nahin koi kuchh nahin tha jahan wahan main tha surat-e-nuqta-e-hubab 'ejaz' mahram-e-bahr-e-bekaran main tha