daghon se dil-o-sina ke afrokhta-jaan hun go main chaman-e-taza hun par waqf-e-khizan hun pahlu mein agar dil hai to tu dil mein hai mere go nang-e-khalaeq hun magar jaan-e-jahan hun jis khak pe main baith gaya fitna uthaya kis sarw-e-khiraman ki kaf-e-pa ka nishan hun hamrah tumhaare hun kisi ja hun kahin hun saya ki tarah tum ho jahan main bhi wahan hun yarab ho bura wahshat dil ka ki nahin chain jab khak hua mar ke to ab reg-e-rawan hun kya zist hai ye khak meri aashiq-e-nashad gah masraf-e-fariyaad hun gah waqf-e-fughan hun