KHwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo

khwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo
phailti tarikiyon mein chand ka charcha karo

be-mahaba jam hi jaen dard ki jab mahfilen
apne gham ko shahr-e-bakht-e-na-rasa samjha karo

lahlahati wadiyon se khub-tar hain reg-zar
dil ke sahra mein gulistan ki faza paida karo

ranj ki gahraiyon ki tah ko pane ke liye
doston ki dushmani ko bhi ata jaana karo

aaqibat ki fikr na-danon ka hissa hi sahi
aaqibat ke tazkire par barmala roya karo

talkh-tar ho zindagi to lutf de shayad siwa
na-shanasaon ki khatir aashna dhunda karo

kya se kya shaklen dikhata hai fareb-e-agahi
dasht-e-imkan se koi zarra utha laya karo

azmat-e-insan ke dukh mein ghul raha hai ahd-e-nau
is masiha ke liye mil kar dua manga karo

kharch uthta hi nahin aur rang lata hai ghazab
be-gunah ke khun se bhi qashqa zara khincha karo

khak udti hai ki raushan husn ka aanchal hua
chehra-e-giti ba-sad-bim-o-raja dekha karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close