kin naqabon mein hai mastur wo husn-e-masum ai meri chashm-e-gunahgar tujhe kya malum haal-e-dil qabil-e-izhaar nahin hai warna mere chup rahne ka kuchh aur nahin hai mafhum ajnabi hun main tere shahr-e-karam mein ai dost kya hai is shahr ka dastur mujhe kya malum dil-e-khush-fahm ye kahta tha bula lega koi jab main uttha tha teri bazm se ho kar maghmum wo shab-e-hijr wo aasar-e-sahar aur dil mein dubti tutti mitti hui yaadon ka hujum ek paikar hai khud se jise kahte hain wafa husn-e-na-karda tamanna ko wafa kya malum talib-e-dad-e-sukhan aap bhi hain kis se 'salim' wo ki hain jis ki khamoshi mein bhi lakhon mafhum