kise KHabar thi ki jite ji bhi wo daur aayega zindagi ka

kise khabar thi ki jite ji bhi wo daur aayega zindagi ka
ki hoga mahsus har nafas ye na koi mera na main kisi ka

hudud-e-wahm-o-guman se guzra makan to kya la-makan se guzra
rukega aakhir kahan pahunch kar ye karwan zauq-e-agahi ka

jo mere dil se tha un ko karna na kar sakin aap ki nigahen
meri tabiat mein naqs jo hai qusur hai wo bhi aap hi ka

hai qabil-e-rahm un ki haalat na kijiye aap un se nafrat
dar-asl ehsas-e-kamtari hai jinhen hai kuchh naz bartari ka

sikhane wale to aae paiham har ek zamin par har ek zaman mein
magar hum aise hi bad-guhar the saliqa aaya na zindagi ka

ye hum ne mana ki is jahan mein khulus-e-jins-e-garan hai lekin
kabhi to yaro khulus barto bharam to rah jae dosti ka

jo husn-e-pur-kar par fida hain unhen 'raza' kaun ye batae
wo husn hai fitna-e-qayamat lagae ghaza jo sadgi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close