muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha khak ho jaana mere hone ka khamyaza na tha main butun-e-zat mein aur tu khala mein gum raha khak ke jauhar ka hum donon ko andaza na tha aab-pashi se rahe ghafil shajar-kari ke baad ab jo dekha ek pauda bhi tar-o-taza na tha hum mein jo aazad tha aazad-tar ho kar raha ab wahi be-ghar hai jis ke ghar ka darwaza na tha jabr ke ehsas ki aawaz to pahle bhi thi inqalab-e-qismat-e-adam ka aawaza na tha