kisi jahan mein hun tera KHayal rakhti hun

kisi jahan mein hun tera khayal rakhti hun
tere khayal se dil ko ujal rakhti hun

nigah ki tishnagi aisi ki sair hoti nahin
main tishna aankhon mein tera jamal rakhti hun

main tere fil ko marungi apne payaade se
bisat-e-waqt pe khud apni chaal rakhti hun

ye mere sher jo har ek ki zaban par hain
main apne sheron mein tera kamal rakhti hun

main teri aankhon se apna wajud dekhti hun
tere labon ki hansi bhi sambhaal rakhti hun

mahaz-e-ishq pe qurbat ki jang ladte hue
main furqaton ke mumasil visal rakhti hun

ghanim jaan se 'nighat' muqable ke liye
main apne samne teri misal rakhti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close