kisi khayal ki shabnam se nam nahin hota ajib dard hai badhta hai kam nahin hota main aa raha hun abhi chum kar badan us ka suna tha aag pe bosa raqam nahin hota tumhaare sath main chal to raha hun chalne ko har ek hujum mein lekin main zam nahin hota main aise khitta-e-zarkhez ka makin hun jahan sanam-tarash ko patthar baham nahin hota jinhen ye zid ho ki choti talak pahunchna hai unhen pahad se girne ka gham nahin hota