sahme nahif dariya ke dhaare ki baat kar ab dasht-e-be-karan ke kinare ki baat kar duniya ke masalon mein mujhe bhi sharik rakh mere darida dil ke bhi chaare ki baat kar rahne de zikr-e-sud kisi aur waqt par rah-e-wafa mein mere khasare ki baat kar mear ke na mujh ko kam-o-besh mein parakh tujh ko agar qubul hun sare ki baat kar hum boriya-nashin tere shah bhi to hain ya laut ja ya sath guzare ki baat kar ab aasman sara meri dastaras mein hai ungli utha kisi bhi sitare ki baat kar