kisi ki chashm-e-gurezan mein jal bujhe hum log

kisi ki chashm-e-gurezan mein jal bujhe hum log
ajab mashaqqat-e-hijran mein jal bujhe hum log

hum apne aks ko aaina karne wale the
pe ek lamha-e-hairan mein jal bujhe hum log

sambhaal paega phir kaun khwab ka warsa
isi khayal-e-pareshan mein jal bujhe hum log

jo aankh se nahin tapke in aansuon ke sath
khud apne khema-e-mizhgan mein jal bujhe hum log

hamare khun ki qimat pe jo kharidi gai
usi bahaar-e-gulistan mein jal bujhe hum log

kahan talak ki uthate azab-e-tanhai
akele hujla-e-viran mein jal bujhe hum log

saza-e-maut se bad-tar hai aagahi ki saza
shuur-e-harf ke zindan mein jal bujhe hum log

hamein kisi ka bahut intizar tha 'ruhi'
so ban ke shama shabistan mein jal bujhe hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close