kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko

kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko
zara si baat thi bas le ude hain diwane

ye phul khilte hain gulzar mein ki parde se
badha ke hath koi de raha hai paimane

hui hai bais-e-tughyan-e-ishq garmi-e-husn
jale na shama to kyun ghir ke aaen parwane

jahan jin se tha ek bazm na-o-nosh tamam
kahan wo baada-gusar ab kahan wo maikhane

jo aql wale hain chalte hain apni apni rah
sab ek rawish pe chale ja rahe hain diwane

nahin hai farq koi nur aur zulmat mein
hawas gum hain wo palta liya hai duniya ne

chamak uthen to mah-o-mahr ko bhi kar den mand
wo zarre god mein apni liye hain virane

kisi ke tir lage sine mein khuda na kare
hamare dil mein hai kya dard koi kya jaane

hamare waste saqi piyala-o-khum ek
chhalak chalen jo wo hote hain aur paimane

khuda samajhne se aakhir bacha liya mujh ko
hazar shukr mere aib tum ne pahchane

hai dil mein aag to aankhon mein lala-zar 'jigar'
nigah-e-naz ke andaz koi kya jaane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close