rakkha tha jise dil mein wo ab hai bhi nahin bhi

rakkha tha jise dil mein wo ab hai bhi nahin bhi
yunhi mere jine ka sabab hai bhi nahin bhi

pahuncha hai tere mahr se qutbain ka mausam
din tha to nahin bhi tha ye shab hai bhi nahin bhi

fariyaad ne sikhi hai teri waz-e-tabassum
is rukh se ki sharminda-e-lab hai bhi nahin bhi

hairat-kada-e-dahr hai ek khwab ka aalam
dekha jo is aalam mein ajab hai bhi nahin bhi

mil jae to katraun jo kho jae to dhundun
ye kaisi talab hai ki talab hai bhi nahin bhi

ye hijr ki dozakh hi bhali jaisi hai sab hai
is wasl ki jannat se ki sab hai bhi nahin bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close