kitne hath sawali hain kitni jeben khali hain sab kuchh dekh raha hun main raaten kitni kali hain manzar se la-manzar tak aankhen khali khali hain us ne kore-kaghaz par kitni shaklen dhaali hain sirf zafar 'tabish' hain hum 'ghaalib' 'mir' na 'haali' hain