kiya jab sabr furqat mein to phir zikr-e-butan kaisa ba-ah-o-zariyan kaisi hain ye shor-e-fughan kaisa bagule ki tarah se khak udana hai muqaddar mein watan kya khanaman-barbaad ka tere makan kaisa hua fikr-o-tasawwur se wo taswir-e-sanam jab to bigad jaana hai ab mujh se dil-e-na-mehraban kaisa qafas mein band hun main go qafas ho shakh-e-tauba par ye mere waste qaid-e-mihan hai bostan kaisa ye sabit ho chuka tum par nahin darte ye marne se liya karte ho jaan-bazon ka phir tum imtihan kaisa lahad mein chain milta hai kahan zahmat-nasibon ko jhapakti hi nahin aankhen meri khwab-e-giran kaisa qadam rakhna zamin par zoaf se mujh ko hua mushkil kya dard jigar ne aah mujh ko na-tawan kaisa andhere ho gae hain donon aalam meri nazron mein zamin kaisi hai mere waste aur aasman kaisa 'jamila' aalimon se saf kah de tujh ko dar kis ka makan-e-dil maqam-e-kibriya hai la-makan kaisa