mauja-e-khun-e-pareshan kahan jata hai mujh se aage mera tufan kahan jata hai main to jata hun bayaban-e-nazar ke us par mere hamrah bayaban kahan jata hai ab to dariya mein bandhe baithe hain dariya ki tarah ab kinaron ki taraf dhyan kahan jata hai chae ki pyali mein taswir wahi hai ki jo thi yun chale jaane se mehman kahan jata hai dastan-go ki nishani koi rakkhi hai ki wo dastan-goi ke dauran kahan jata hai baat yun hi to nahin karta hun main ruk ruk kar kya bataun ki mera dhyan kahan jata hai ghar badalna to bahana hai bahana kar ke andar andar hi se insan kahan jata hai