koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se

koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se
rihai ka koi rasta nahin in qaid-khanon se

machhere kashtiyon mein baith kar ke ga rahe hain git
hawaen muskura kar mil rahi hain baadbanon se

zamin walon ne jab se aasman ki or dekha hai
parinde khauf khane lag gae unchi udanon se

ye sukhe zakhm hain ya rang hain taswir mazi ke
mujhe guzre zamane yaad aae in nishanon se

hamein apni ladai is zamin par khud hi ladni hai
farishte to nahin aane yahan par aasmanon se

tumhaara dil yahan par kho gaya to kaisi hairat hai
bareilly mein to jhumke tak nikal jate hain kanon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close