ye dosti ka taqaza hai is ko dhyan mein rakh hamesha fasla thoda sa darmiyan mein rakh badalne wala hai khurshid-tab ka mausam to koi der abhi khud ko saeban mein rakh safina khud hi tera ja lagega sahil se hawa lapet ke thodi si baadban mein rakh subut apni shujaat ka tujh ko dena hai shikasta tir kadakti hui kaman mein rakh tere sukhan ke sada log honge girwida mithas urdu ki thodi bahut zaban mein rakh 'mubarak' aur kahin par panah-gah na dhund tu apne aap ko allah ki aman mein rakh