koi achchha nahin hota hai bari chaalon se

koi achchha nahin hota hai bari chaalon se
lab-e-baam aa ke khade ho na khule baalon se

roz-o-shab kis liye rahta hun ilahi betab
na to goron se mohabbat na mujhe kalon se

josh-e-wahshat mein jo jangal ki taraf ja nikla
tap chadhi sher-e-niyastan ko mere nalon se

koi kuchh ishq ka karta hai bayan koi kuchh
tang aaya hun main is qaziya ke dallalon se

beshtar subh-e-shab-e-wasl se hum guzrenge
zor-e-adbar chalega na khush-iqbaalon se

mast hathi hai teri chashm-e-siyah mast ai yar
saf-e-mizhgan use ghere hue hai bhaalon se

ru-e-khuban se milega hamein bosa ki nahin
haal in shaklon ka kuchh puchhiye rammalon se

aarzi husn se nafrat ye hui hai dil ko
rutba zulfon ko nahin makdiyon ke jalon se

khat-e-shab-gun ne nikal kar abas andher kiya
kafiristan to wo rukh aage hi tha khalon se

do jahan hashr ke din howenge baham maujud
muttafiq honge idhar wale udhar walon se

dil hasinon ke tasawwur se banaya khali
aaina-khanon mein kasrat rahi timsalon se

kuchh to halka karen khar-e-rah sahra-e-junun
bojh langar ka hue hain kaf-e-pa chhaalon se

in ke boson ki tamanna hai labon ko 'atish'
aaina kasb-e-safa karte hain jin galon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close