koi ishq mein mujh se afzun na nikla kabhi samne ho ke majnun na nikla bada shor sunte the pahlu mein dil ka jo chira to ek qatra-e-khun na nikla baja kahte aae hain hech us ko shaer kamar ka koi hum se mazmun na nikla hua kaun sa roz-e-raushan na kala kab afsana-e-zulf-e-shabgun na nikla pahunchta use misra-e-taza-o-tar qad-e-yar sa sarw-e-mauzun na nikla raha sal-ha-sal jangal mein 'atish' mere samne bed-e-majnun na nikla