koi bhi saman nahin hai ab meri hairani ko

koi bhi saman nahin hai ab meri hairani ko
aatish-dan mein phenk diya hai ek khat likh kar pani ko

kirdaron ki khep bula kar kya taswir banaoge
ek kahani se dhanpoge kis kis ki uryani ko

un se puchho jin par guzre lamhe asl qayamat ke
log to hijrat kah dete hain har ek naql-e-makani ko

hum ne jis lamhe saunpe the khwab bilorin aankhon ko
kos rahe hain ab tak hum us lamhe ki nadani ko

jis chashme se pani pina us ka sauda kar dena
ghaddari kahte hain bhai aisi be-imani ko

ghur raha hai mera dil kab se ek khali pinjre ko
zindan se aawaz aati hai aa jao zindani ko

kaise tanha kamre se uth kar bazar mein aa jaen
mushkil se yaad kiya hai hum ne us virani ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close