nur nur zehnon mein khauf ke andhere hain raushni ke pedon par raat ke basere hain shahr shahr sannate yun sada ko ghere hain jis tarah jaziron ke paniyon mein dere hain nind kab mayassar hai jagna muqaddar hai zulf zulf andhiyare kham-ba-kham sawere hain dil agar kalisa hai gham shabih-e-isa hai phul rahiba ban kar ruh ne bikhere hain ishq kya wafa kya hai waqt kya khuda kya hai in latif khemon ke sae kyun ghanere hain zauq-e-agahi bhi dekh tauq-e-be-kasi bhi dekh panw mein hain zanjiren hath mein pharere hain hu-ba-hu wahi aawaz hu-ba-hu wahi andaz tujh ko main chhupaun kya mujh mein rang tere hain tod kar had-e-imkan jaega kahan irfan rah mein sitaron ne jal kyun bikhere hain fahm lakh suljhae wahm lakh uljhae husn hai haqaeq ka kya khayal mere hain hum to thahre diwane bastiyon mein virane ahl-e-aql kyun 'khalid' pagalon ko ghere hain