koi dil to nahin hai ki Thahar jaega

koi dil to nahin hai ki thahar jaega
waqt ek khwab-e-rawan hai so guzar jaega

har guzarte hue lamhe se yahi khauf raha
hasraton se mere daman ko ye bhar jaega

shiddat-e-gham se mila zist ko mafhum naya
hum samajhte the ki dil jine se bhar jaega

chand lamhon ki rifaqat hi ghanimat hai ki phir
chand lamhon mein ye shiraaza bikhar jaega

apni yaadon ko sametenge bichhadne wale
kise malum hai phir kaun kidhar jaega

yaaden rah jaengi aur yaaden bhi aisi jin ka
zahr aankhon se rag-o-pai mein utar jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close