ye KHwab jis ne dikhae the ek safar ke mujhe

ye khwab jis ne dikhae the ek safar ke mujhe
wo ashk de gaya aankhon mein umr bhar ke mujhe

hai fan mein yakta wo sayyaad ho ki ho dilbar
udan bharne ko kahta hai par katar ke mujhe

kathin tha rasta dushwar thi har ek manzil
koi dikhae usi rah se guzar ke mujhe

main us ki khas nazar se tadap tadap utthun
wo itne pyar se dekhe thahar thahar ke mujhe

zara si der thaharne de ai gham-e-duniya
zara sa dekh le wo bhi to aankh bhar ke mujhe

mere khayal ki uljhan kahan sudharti hai
gul-e-bahaar ne dekha hai phir sanwar ke mujhe

sulag rahi hun main sanson ki tez bhatti mein
pila raha hai wo ulfat ke jam bhar ke mujhe

wo shahd ghol raha hai samaaton mein meri
bula raha hai koi baam se utar ke mujhe

dhadak raha hai mohabbat mein dil mera 'afroz'
guzar rahi hain hawaen bhi pyar kar ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close