koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin

koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin
ab to is bazm mein meri koi aawaz nahin

naghma kaisa ki labon par bhi hai ek mohar-e-sukut
dil ki dhadkan ke siwa ab koi aawaz nahin

aur hi hoti hai ek saz-e-shikasta ki sada
soz-e-gham jis mein na ho dil ki wo aawaz nahin

mahw-e-parwaz hai us auj pe bhi mera khayal
jis bulandi pe farishton ki tag-o-taz nahin

khar ban jaana hai har phul mere hisse ka
baghban ye meri qismat ka to eajaz nahin

jab se badla hai tera tarz-e-sitam ai zalim
dil-e-bismil ke tadapne ka wo andaz nahin

karwaten lete hain naghmat-e-mohabbat is mein
dil ki aawaz se behtar koi aawaz nahin

phir gai milne se pahle wo nazar ai 'kashfi'
ye wo anjam hai jis ka koi aaghaz nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close