koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya purane taq ke saman se kya kya nikal aaya ba-zahir ajnabi basti se jab kuchh der baaten kin yahan ki ek ek shai se mera rishta nikal aaya mere aansu hue the jazb jis mitti mein ab us par kahin pauda kahin sabza kahin chashma nikal aaya khuda ne ek hi mitti se gundha sab ko ek jaisa magar hum mein koi adna koi aala nikal aaya sabhi se fasla rakhne ki aadat thi so ab bhi hai paraya kaun tha jo shahr mein apna nikal aaya nae mahaul ne pahchan hi mashkuk kar dali jo be-chehra the kal tak un ke bhi chehra nikal aaya