koi mazi ke jharokon se sada deta hai

koi mazi ke jharokon se sada deta hai
sard padte hue shoalon ko hawa deta hai

dil-e-afsurda ka har gosha chhanak uthta hai
zehn jab yaadon ki zanjir hila deta hai

haal-e-dil kitna hi insan chhupae yaro
haal-e-dil us ka to chehra hi bata deta hai

kisi bichhde hue khoe hue hamdam ka khayal
kitne soe hue jazbon ko jaga deta hai

ek lamha bhi guzar sakta na ho jis ke baghair
koi us shakhs ko kis tarah bhula deta hai

waqt ke sath guzar jata hai har ek sadma
waqt har zakhm ko har gham ko mita deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close