koi mera imam tha hi nahin

koi mera imam tha hi nahin
main kisi ka ghulam tha hi nahin

tum kahan se ye but utha lae
is kahani mein ram tha hi nahin

jis qadar shor-e-ab-o-gil tha yahan
us qadar ehtimam tha hi nahin

is liye sadh li thi chup main ne
is se behtar kalam tha hi nahin

hum ne us waqt bhi mohabbat ki
jab mohabbat ka nam tha hi nahin

tu kahan raste mein aa gai hai
zindagi tujh se kaam tha hi nahin

waqt ne la khada kiya us ja
jo hamara maqam tha hi nahin

is liye khas kar diya gaya ishq
aam logon ka kaam tha hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close