koi monis nahin mera koi gham-khwar nahin kya main itni si murawwat ka bhi haqdar nahin mere hi dam se jinhen azmat-e-kirdar mili wahi kahte hain ki main sahab-e-kirdar nahin ehtimam-e-rasan-o-dar hai ab kis ke liye main khatawar nahin aap khatawar nahin munsif-e-shahr ko de kaun sawalon ke jawab ab kisi shakhs mein bhi jurat-e-guftar nahin silsila unche makanon ka hai ta-hadd-e-nazar shahr mein phir bhi kahin saya-e-diwar nahin qafile wale kahan paenge manzil ka nishan jazba-e-shauq nahin garmi-e-raftar nahin kya faqat dad hai shair ki riyazat ka sila 'soz' kya mashq-e-sukhan kawish-e-bekar nahin