koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka

koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka
dayar-e-gham mein raha dil ko pas duniya ka

fareb-e-subh-e-bahaaran bhi hai qubul hamein
koi naqib to aaya payam-e-farda ka

hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka

teri wafa ne diya dars-e-agahi hum ko
tere junun ne kiya kaam chashm-e-bina ka

ulajh ke rah gai har tan se nawa-e-sarosh
tilism tut gaya husn-e-naghma-paira ka

shab-e-firaq mein tare gine to nind aai
ye haal ho gaya aakhir tumhaare shaida ka

'wahid' garmi-e-andesha ne ghazab dhaya
sulag raha hai abhi hath khama-farsa ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close