zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai

zamane phir nae sanche mein dhalne wala hai
zara thahar ki natija nikalne wala hai

abhi hujum-e-azizan hai zer-e-takht-e-murad
magar zamana chalan to badalne wala hai

hui hai naqa-e-laila ko sarban ki talash
julus shahr ki galiyon mein chalne wala hai

zamir apni tamanna ko phir ugal dega
samundaron se ye sona uchhalne wala hai

naya azab nai subhon ki talash mein hai
ye mulk phir naya qatil badalne wala hai

sada-e-subh-e-bashaarat khabar sunaegi
sulag raha hai jo sina wo jalne wala hai

nae azab ki aamad hai aur hum hain 'wahid'
azab-e-daura-e-hazir to talne wala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close