koi samjhao dariya ki rawani katti hai ki mere sans ko tishna-dahani katti hai main bahar to bahut achchha hun par andar hi andar mujhe koi bala-e-na-gahani katti hai main dariya hun magar kitna sataya ja raha hun ki basti roz aa ke mera pani katti hai zamin par hun magar kat kat ke girta ja raha hun musalsal ek nigah-e-asmani katti hai main kuchh din se achanak phir akela pad gaya hun nae mausam mein ek wahshat purani katti hai ki raja mar chuka hai aur shahzade jawan hain ye rani kis tarah apni jawani katti hai nazar walo tumhaari aankh se shikwa hai mujh ko zaban walo tumhaari be-zabani katti hai