na itna kije talabgar kaun aap ka hai ye ghair hai to yahan yar kaun aap ka hai na naz kijiye warasta-khatiron ke sath kidhar hain aap kharidar kaun aap ka hai masiha apna hai ek aur hi lab-e-jaan-bakhsh khuda ke fazl se bimar kaun aap ka hai hum apni be-gunahi ko gunah kahte the bigad gae ye gunahgar kaun aap ka hai tasawwur aur hi badmast ka hai 'lutf' ko ab na aap bahkiye sarshaar kaun aap ka hai