koi to zehan ke dar par zarur dastak de

koi to zehan ke dar par zarur dastak de
agar shuur na de la-shuur dastak de

tulu-e-subh ka manzar ajib hota hai
jab aasman se sada-e-tuyur dastak de

is intizar mein hai mera qasr-e-be-khwabi
ki koi nind-pari koi hur dastak de

fasil-e-shahr-e-tamanna ki tirgi bhi chhate
kabhi to us pe koi subh-e-nur dastak de

phir ek bar azab-e-shikastagi se guzar
phir us ke dar pe dil-e-na-subur dastak de

ana ke khol se niklen to yun bhi mumkin hai
dar-e-faqir pe dast-e-ghurur dastak de

hum aur nur ki khairaat mangne jaen
hamare dar pe to khud koh-e-tur dastak de

mujhe ghayab ka aalam ziyaada ras aaya
magar kabhi kabhi shauq-e-zuhur dastak de

hudud-e-waqt ke darwaze muntazir hain 'nasim'
ki tu ye fasle kar ke ubur dastak de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close