koi us zalim ko samjhata nahin

koi us zalim ko samjhata nahin
wo sitam karne se baz aata nahin

dasht-e-gham mein kab mera naqsh-e-qadam
har qadam pe aankh dikhlata nahin

dard-e-furqat se zaban danton mein hai
kya kahun kuchh bhi kaha jata nahin

chashm-e-dil se dekh use tu dekh le
chashm-e-zahir se nazar aata nahin

sabr-e-shauq-e-wasl-e-jaanan kya karun
par laga kar bhi uda jata nahin

kab khayal-e-zulf mein har raat ko
dil pe mere sanp lahraata nahin

gul se nisbat kiya tere rukhsar ko
ye to wo gul hai jo kumhlata nahin

dard-e-furqat se hai ab honton pe dam
phir bhi zalim ko taras aata nahin

jaan li hai jalwa-e-rukhsar ne
qabr ki zulmat se ghabraata nahin

husn ki khuddariyan to dekhiye
be-khudi mein bhi wo hath aata nahin

wo nahin aate to nadir kya gala
hosh jab do do dopahar aata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close