palak jhapakte mein kaTte hain roz o shab mah o sal

palak jhapakte mein katte hain roz o shab mah o sal
jo fasle the man o tu ke darmiyan na rahe

wafa rifaqat-e-yak-umr kuchh nahin lekin
ye chahta hun ki roun bahut gale mil ke

masaf-e-zist mein wo ran pada hai aaj ke din
na main tumhaari tamanna hun aur na tum mere

rafiq-o-yar kahan ai hijab-e-tanhai
bas apne chehre ko takta hun aaina rakh ke

hazar shor-e-tamasha ho aankh baz na ho
wo khwab dekh ke baitha hun umr bhar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close