koi wada na denge dan mein kya jhut tak ab nahin zaban mein kya meri haalat pe aankh mein aansu dard dar aaya kuchh chatan mein kya kyun jhijhakta hai baat kahne mein jhut hai kuchh tere bayan mein kya sach adalat mein kyun nahin bole kante ug aae the zaban mein kya raat din sunta hun teri aahat naqs paida hua hai kan mein kya mujh pe tu zulm kyun nahin karta ab nahin hun teri aman mein kya tu to rahta hai dhyan mein mere main bhi rahta hun tere dhyan mein kya wahi chehra nazar nahin aata dhul udne lagi jahan mein kya