ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin khun-e-nahaq kis taraf sham-o-sahar hota nahin har shajar ai dida-e-tar barwar hota nahin har sadaf ki god mein jaise guhar hota nahin sunte aae hain ki shar ka badla shar hota nahin aaj-kal ke daur mein aisa magar hota nahin hai mera hona na hona us parinde ki tarah ek par hota hai jis ka ek par hota nahin tere diwane ko dekha hai hamesha sar-ba-kaf tere diwane ka dil hota hai sar hota nahin aaj-kal kya kuchh nahin hota khuda ke nam par aaj-kal kya kuchh khuda ke nam par hota nahin mohtaram qanun-sazo ye bhi kya qanun hai ek bhi qanun aaed aap par hota nahin