ba-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai wo sada-lauh hamein chahta abhi tak hai faqat zaman o makan mein zara sa farq aaya jo ek masala-e-dard tha abhi tak hai shuru-e-ishq mein hasil hua jo der ke baad wo ek sifr tah-e-hashiya abhi tak hai hulul kar chuki khud mein hazar naqsh o rang ye kaenat jo khaka-numa abhi tak hai tawil silsila-e-maslahat hai chaar taraf yaqin kar le meri jaan khuda abhi tak hai