kuchh hai khabar farishton ke jalte hain par kahan jati hai be-adab nigah-e-parda-dar kahan ye sham-o-anjuman ye mai-o-jam ye bahaar mehman raat bhar ke hain waqt-e-sahar kahan nazzara-e-jamal hai go jaan-e-zindagi warafta-e-jamal ko fursat magar kahan dil arsh-gah-e-husn hai dil jalwa-gah-e-naz ye aap hi ka ghar hai hamari guzar kahan hai waqt-e-naza aur gham-e-ishq dur dur jata hai sath chhod ke ye ham-safar kahan is be-khudi-e-shauq mein 'abrar' kis ko hosh manzil kahan hai main hun kahan rahbar kahan