na puchho jaan par kya kuchh guzarti hai gham-e-dil se qarar aana kahan ka sans bhi aati hai mushkil se ba-har-surat safina dub jata hai mohabbat ka kabhi takra ke tufan se kabhi takra ke sahil se ise kahte hain mahrumi use kahte hain nakaami sar-e-manzil pahunch kar bhi hun ab tak dur manzil se dil-e-betab pata hai sukun kab josh-e-ulfat mein ye dariya maujzan ho ho ke takraata hai sahil se yahan tak rafta rafta badh gaya ehsas-e-mahrumi unhen dekha magar tishna-nazar uttha hun mahfil se