kuchh is ada se wo mere dil-o-nazar mein raha

kuchh is ada se wo mere dil-o-nazar mein raha
ba-qaid-e-hosh bhi main aalam-e-digar mein raha

khud apni zat pe mujh ko bhi ikhtiyar na tha
tamam-umr main ek halqa-e-asar mein raha

wo ishq jis ki zamane ko bhi khabar na rahi
tere bichhadne se ruswa nagar nagar mein raha

rah-e-hayat mein teri rifaqaten na sahi
tera khayal to har-dam mujhe safar mein raha

gham-e-zamana ne kis ko mafar hai ai 'nadir'
sukun-e-qalb kahan ab kisi hunar mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close