kuchh log samajhne hi ko tayar nahin the

kuchh log samajhne hi ko tayar nahin the
hum warna koi uqda-e-dushwar nahin the

sad-haif ki dekha hai tujhe dhup se be-kal
afsos ki hum saya-e-diwar nahin the

hum itne pareshan the ki haal-e-dil-e-sozan
un ko bhi sunaya ki jo gham-khwar nahin the

sach ye hai ki ek umr guzari sar-e-maqtal
hum kaun se lamhe mein sar-e-dar nahin the

mana ki bahut tez thi raftar-e-hawadis
hum bhi koi girti hui diwar nahin the

ye us ki inayat hai ki apna ke tumhein 'shauq'
wo zakhm diye jin ke saza-war nahin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close