mere jaanib se use ja ja ke samjhate hain log

mere jaanib se use ja ja ke samjhate hain log
wo nahin sunne ka zid be-kar dilwate hain log

shola-khu mera sune mujh dil-jale ka haal kyun
aag mein aag aur bhi nahaq laga aate hain log

mere marne par unhen kyun rashk se puchho koi
kyun sar-e-baalin mere be-kar chillate hain log

koi kahta hai tujhe jallad koi sang-dil
teri jaanib se mujhe aa aa ke dhamkate hain log

main na jita hun na marta hun sisakta hun pada
jhut sach qasmen tumhaare samne khate hain log

dosti ke parde mein karte hain mujh se dushmani
tum ko phir agli jafaen yaad dilwate hain log

teri mahfil mein mera aana jo un ko bar hai
chhed kar tujh ko mujhe baaten hi sunwate hain log

tum se aur wada wafa ho ye hamein bawar nahin
qasmen de kar tum ko nahaq jhut bulwate hain log

baz aaya aasman in ki hawa-khwahi se main
aag dil ki aur bhi aa aa ke bhadkate hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close