kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya

kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya
dar-ba-dar uftad se khele zulf-ba-zulf aaram kiya

sawan shoale bhadke gulshan gulshan aag lagi
kaisa suraj ubhra jis ne subh ko aatish-nam kiya

tanhai bhi sannate bhi dil ko daste jate hain
rahgiro kis des mein aa kar hum ne aaj qayam kiya

qarya-e-gul se dasht-e-bala tak ahl-e-hawas ki yurish thi
kuchh to samajh kar diwanon ne tark-e-jada-e-am kiya

raat ke hathon kab tak rahta shahr-e-nigaran tira-o-tar
apne lahu se hum ne charaghan aakhir gam-ba-gam kiya

aish bhi guzre ranj bhi guzre dil ki haalat ek rahi
kab jashn-e-aghaz manaya kab khauf-e-anjam kiya

'mir' ke gyani lakhon dekhe 'mir' si kis mein baat 'uruj'
meri biti aap ne kah len khud ko abas badnam kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close